Friday, November 6, 2009

Tapaktee rakkh choole bujha gai

Rukhsat hue ek din zindgee se is tarah.
Udta hua panchi dhundhla ho jis tarah.
Gir kar zamee pe toot gai khakh ho gai.
Muddat me jo ai thee gumsum see ek wajah
fir khakh hue chulhe jalne lage makan
kuch aankh bhar gaiuthne laga dhua
kya haal poochte ho is badhaalee mein
bhookee aas baith tee hai soone thaali mein
kuch dafn ho gae kuch raakh ho gae
Dair-o-haram k jhagde ab pak ho gae
Na ranjish ye mitee hai na insaan mitega
Miti hai bas muhhobbat teri meri jeenai ki wajah
Ek yateem ki ankhe jud gae meri ankho se dafatan
bahtee huee ankhe rukengi ab kaha
Rukhsat hue ek din zindgee se is tarah.
Udta hua panchi dhundhla ho jis tarah.
Gir kar zamee pe toot gai khakh ho gai.
Muddat me jo ai thee gumsum see ek wajah

No comments:

Post a Comment

Hey...

Welcome to the lounge....Click to Refresh

A comfortable way to express

A comfortable way to express
peace to nirvana via smile ... :)