Aur phir ek din usne asmaan chura liya.
Taro.n ko beghar kar gai.
Chaand yateem hua dar dar bhatakne laga
Panchhi sabhee zamee.n pe utar aye.
Hawai.n chup chaap baithee roti rahee
Badalo.n ka awarapan chhin gaya
Aate mausam badal gaye
saare jaha ko hila diya
Us bekhabar ne palko.n me sinhare piroye
Aur neela kaaleen ankho pe bicha liya
Aur phir ek din usne aasman chura liya.
Mudit Sharma
Ab Zindgee Gonjtee hai khokhalee darkhto.mein
Monday, March 7, 2011
Theory of religion
October me hawai.n kuch sard hotee hai.
ek garmahat kisi tyohar ki zehen me hoti hai.
raju ki badi chaachi sweater bana rahee hai.
nangge pao.n hai abdul uskee ammi bata rahe hai.
diwali aj hai, ye sabse keh dunga.
ammi jo eid pe pehna tha, wo fir pehnunga.
diwali k khushiyo.n ne mazhab ki diwar tod di.
pahli fuljhadi k neg se, bochar chhod di.
pehla ghar se nikla rocket sabko nazar ata hai.
bachche to chhup jaate hai
bado.n me umadta bachpan nazar ata ahi .
par doosra rocket humare ghar ka nahee tha.
andaz wai tha par irada wo nahee tha
muhalle ki kuch deewar ab nahee rahee
nazir ki badi beti kahee dikh nahee rahee
kuch maasoom si jane dhua ban gayee.
aman ki saaf hawa mulk se achanak hi kho gai.
chita ki aag se kabro.n pe atishbaazi kara do.
gar wo masjid giri hai toh mandir bhee gira do
ab kaun marega hindu ya musalma.n
pehle hi bata de kidhar tera imaa.n
ghar ki mithaiya.n ghar me hi reh gayee
abbu aye nahee laut k ammi hi reh gayee.
haath me bandook thi rago me baarud lal tha
pichli gali me ek saya bhoklata behal tha
mere ghar me mere apne log fanse hai
wo wahi pe chupe hai unme saans bache hai
unko dhyan se jaakar wahi pe maar dena
mere kamre me jo mithaiya.n hai wo apno me baant dena
fir me dekhta raha jaate kadmo ki ahat ko
chup chaap kah gaya wo diwali mubarak ho.

Sunday, August 1, 2010
Boodha Rishtedar
kal raat chand ne mujhe dekh liya
roshni ka ek tukda mere chehre pe fenk diya
tanga raha upar rota raha chup chap
maine kiya adab hone lagee fir baat
sunane laga har gam mujhe pareshan hokar
jeeta hu andhero.n me tumko ujale dekar
jalta hu har pal zamane ki chubhan me
bas naam hai mera jeeta hu ghutan me
eid pe mujhko manane log aajate hai
amavas ki raat pe akela chhod jaate hai
sunta raha chupchap uskee kahee har baat
bhanak subah ko lag gayee dhalne lagee wo raat
jaga k mujh ko so gaya uljhe sawalo.n me
kya khaakh hai seekha beetai hazaar salo.n me
theek hai tu nahee is ahl-e-ranj k darmiya.n
yaha nafrat hee ugee hai dilo.n me hai dhua.n
tune dekha hai door se is zamane ko
me jeeta hu yahi pe kuch naam k rishte nibhane ko
ab shama bhuj gayee to chalu.n ghar jalane ko
nakami ki chadar mene fir se odh li
hara hua chehra apna dhak liya

Sunday, February 14, 2010
Maayus mausam
Dard tapakta hai sukhe hue jharno se
har roz mehkta hai toote hue sapno se
barbadi ne khushiyo.n ki umr ghata di hai
jalti hui aankho.n ne ek sard hawa di hai
jo tha kabhi roshan ab rakh ho gaya hai
kuch is tarah humne apno ko saza di hai
nakami ki chheentai.n chehre pe lag gai hai
nazro.n me lagi khushiya.n zehen se hat gayee hai
kyam me dekhta hu aur kya dikh raha hai
udte hue panchi hai hausla gat raha hai
girta hai arsh par behta hua nazro.n se
dard tapakta hai sukhe hue jharno se

Atoot
Ek marasim jo mujhse khafa ho nahee sakta.
door hu tumse par juda ho nahee sakta.
Andhera hota tha to main dar sa jata tha
tera saya tassali k ujale jalata tha.
Bachpan ka har lamha tere sath buna hai.
Mere liye tujhko farishto ne chuna hai.
Har seedhi mere jeewan ki tune banai hai.
Tu hee meri kismat hai meri khudayee hai.
Duniya jeet leta hu gar tu mere sath rehtee hai.
Khushi ankho se behtee hai jo mujhko bhai kehtee hai.
adhura hu me tujhse door ho k
garmi ki chuttiya, sardi k wo jhoke
sab kuch jo guzra hai, didi wo tera hai.
kabhee bhool na jana, tera bhai akela hai.
Ek pyara sa chehra, jo rehta hai zehen me.
Dikhta hai wo khuda, mujhe apni behen me.
Duniya ki sab khushiya tere daman me la rakhta.
par majbur hu abhee, main kuch bhee de nahee sakta.

Monday, November 16, 2009
Toot te taare
Beetai waqt k purze , zehen me utar aaye.
Kuch adhure khwab, aankho se utar aaye.
Puchta hu mai, in tanha rasto se
Ye kaun see jagah hai, hum kidhar aye.
tasveerai.n jal gayee, rishte alag hue.
Ek zindgee bachee hai, bas ye guyzar jaye
Puchta hu mai, in tanha rasto se
Ye kaun see jagah hai, hum kidhar aye.
Ukta gaya hu mein, tanhai k alam se.
kahi aisa na ho sahil, tanha umar jaye.
Puchta hu mai, in tanha rasto se
Ye kaun see jagah hai, hum kidhar aye.
Jab dhoondhne chala, apne kisi rishte ko.
Hazaro.n k darmiya.n, bas wo nazar aye.
Puchta hu mai, in tanha rasto se
Ye kaun see jagah hai, hum kidhar aye.
shaher-e-khamosh me leta hu, ek yaad k sirhane
Aj aram mil raha hai, aaj hum apne ghar aye

Friday, November 13, 2009
Eent k tukde
Ek ghar hai
usme rehti kuch apno ki yadein hai.
hum mehman ban k kabhi shaam ko usme jaate hai.
dhool ki kursi se lakdi ki awaaz aatee hai.
kanch k bartano me tapakti chhat jagmagati hai.
purane akhbaar hawao mein tairte muskurate hai.
bhaari awaz mein boodhe darwaze apne paas bulate hai.
Mere guzre sabhee pal ab bhee wahee baithe hai.
Goya ye baat aur hai ki nazar nahee aate hai.
koi apna kisi deewar pe tasveer mein mil jaye.
puranee mehfilein roshan hone lagtee hai
kai beetai kisse mil jate hain.
Sheher k logo se achchee baat cheet hai meri
Har roz jaane pehchane chehre mukhoto.n me mil jate hai.
Jab bheed ki ghutan me akela hota hu
to is ghar me bikhre chehre mujhe yaad ate hai
Meri yado k dhage iskee dewaro se jude hain
Meri zindgee pe iska ek khaas asar hai.
Ammi ki mannat, abbu ki khwahish.
baba k sapne, dadi ki umar hai.
Mer apno ki yado.n ka sunsan
Ek ghar hai.

Subscribe to:
Comments (Atom)
Hey...
A comfortable way to express
peace to nirvana via smile ... :)