dhue k fasle bhee dhundhle hone lage ........
ubalte paani ka dhua chilam se chipak k rone laga........
rakh k tukde hawa me goonj k khone lage......
gudgudate paani se kuch baat cheet hone lagee
dard se ukta k khushi aankh se bahne lagee
chehre ubarte the or hawa me ud jate the
dhue k challe chehro k frame banate the
khud hee jalta tha aur mujhko bujhata tha
dhue k gubar k peeche main khud ko chupata tha
ufante lavz suro me bandh k aate the
meri kaifiyat ka ahsas mujhko dilate the
gar mehfil me ho maujd to ek rang aa jata hai
mujhko akela dekh mere sang aa k baith jata tha
tu ek ehsas hai jo bujh nahee sakta
hazaro dard k andhero me ruk nai sakta
ab tu bujh gaya aur mein rakh ho gaya
fir se subah hue aur me kho gaya
fir wahee bheed wahee pareshaniya
har ek sadme se umadtee hairayniya
fir shaam ho rahee hai
fir zakhm khul rahe hai
fir akele me sannaton k shor hansne lage
dhue k fasle bhee dhundhle hone lage
ubalte paani ka dhua chilam se chipak k rone laga
rakh k tukde hawa me goonj k khone lage
for u jasmine.......
ReplyDelete