Beetai waqt k purze , zehen me utar aaye.
Kuch adhure khwab, aankho se utar aaye.
Puchta hu mai, in tanha rasto se
Ye kaun see jagah hai, hum kidhar aye.
tasveerai.n jal gayee, rishte alag hue.
Ek zindgee bachee hai, bas ye guyzar jaye
Puchta hu mai, in tanha rasto se
Ye kaun see jagah hai, hum kidhar aye.
Ukta gaya hu mein, tanhai k alam se.
kahi aisa na ho sahil, tanha umar jaye.
Puchta hu mai, in tanha rasto se
Ye kaun see jagah hai, hum kidhar aye.
Jab dhoondhne chala, apne kisi rishte ko.
Hazaro.n k darmiya.n, bas wo nazar aye.
Puchta hu mai, in tanha rasto se
Ye kaun see jagah hai, hum kidhar aye.
shaher-e-khamosh me leta hu, ek yaad k sirhane
Aj aram mil raha hai, aaj hum apne ghar aye
Puchta hu mai, in tanha rasto se
Ye kaun see jagah hai, hum kidhar aye.
No comments:
Post a Comment