ek roz abbu ghar nahee laute
naa afsos tha kisi ko
naa yaad ki kisi ne
mujh me jo ek beta chupa tha
bas yaad ki usee ne
wajah dhoondhta raha unke takhat k kono me
ciggarret ka dhua ginata raha fasla hum dono me
ghar se kati wo kothari hee de saka us shaqs ko
dhundhta raha is mahal mein un k ankahe har lavz ko
kaleje se kaat k wo tukde khilate the
meri ek mmuskurahat k liye bhooke hee so jaate the
ammi k daantne pe khud beech mein aate the
phir chat pe aansu ponch kar mujhe sitaro mein uljhate the
ammi guzar gayee jab to main bhee kho gaya
wo budha hua toota shaqs akela rah gaya
abbu galti hui mujhse ek bbaar maaf kar do
bhatka hua beta samajh ek baar pyaar kar do
mein akela hu is apne ghar mein
mujhe tumharee yaad aatee hai
har tasveer tumharee
kuch ashq le aatee hai
khuda dekha nahee hai maine
gar khuda hota to tum hee hote
ek roz abbu ghar nahee laute
No comments:
Post a Comment