kai dhage jodkar banayee thee ek rishte ki chaadar
ek kori ujlee see naye rishte ki chaadar
na koi daag tha us par bas ek shakl thee
rakhi thi dil-o-zami pe bade naaz se bichakar
par ab dekhta hu kuch salvatein us chadar mein
kyu ankho ki nami goonjti hai us chadar mein
maine rakha tha har gam se jisko bachakar
wo meri ummeedon se bandhi ek rishte ki chadar
door ek chat pe sookhtee nazar aatee hai
waqt ki hawa me udti hai lehrati hai
yaado k dhaage ab bhee meri ungliyo se bandhe hai
jitna door jau utna paas aatee hai
har tane ne iske mujhko rakha hai uljhakar
meri khwahish mere sapno se bani wo chadar
No comments:
Post a Comment