Sunday, August 1, 2010

Boodha Rishtedar

kal raat chand ne mujhe dekh liya
roshni ka ek tukda mere chehre pe fenk diya
tanga raha upar rota raha chup chap
maine kiya adab hone lagee fir baat
sunane laga har gam mujhe pareshan hokar
jeeta hu andhero.n me tumko ujale dekar
jalta hu har pal zamane ki chubhan me
bas naam hai mera jeeta hu ghutan me
eid pe mujhko manane log aajate hai
amavas ki raat pe akela chhod jaate hai
sunta raha chupchap uskee kahee har baat
bhanak subah ko lag gayee dhalne lagee wo raat
jaga k mujh ko so gaya uljhe sawalo.n me
kya khaakh hai seekha beetai hazaar salo.n me
theek hai tu nahee is ahl-e-ranj k darmiya.n
yaha nafrat hee ugee hai dilo.n me hai dhua.n
tune dekha hai door se is zamane ko
me jeeta hu yahi pe kuch naam k rishte nibhane ko
ab shama bhuj gayee to chalu.n ghar jalane ko
nakami ki chadar mene fir se odh li
hara hua chehra apna dhak liya
kal raat chand ne mujhe dekh liya

Hey...

Welcome to the lounge....Click to Refresh

A comfortable way to express

A comfortable way to express
peace to nirvana via smile ... :)