Sunday, February 14, 2010

Maayus mausam

Dard tapakta hai sukhe hue jharno se
har roz mehkta hai toote hue sapno se
barbadi ne khushiyo.n ki umr ghata di hai
jalti hui aankho.n ne ek sard hawa di hai
jo tha kabhi roshan ab rakh ho gaya hai
kuch is tarah humne apno ko saza di hai
nakami ki chheentai.n chehre pe lag gai hai
nazro.n me lagi khushiya.n zehen se hat gayee hai
kyam me dekhta hu aur kya dikh raha hai
udte hue panchi hai hausla gat raha hai
girta hai arsh par behta hua nazro.n se
dard tapakta hai sukhe hue jharno se

Atoot

Ek marasim jo mujhse khafa ho nahee sakta.
door hu tumse par juda ho nahee sakta.
Andhera hota tha to main dar sa jata tha
tera saya tassali k ujale jalata tha.
Bachpan ka har lamha tere sath buna hai.
Mere liye tujhko farishto ne chuna hai.
Har seedhi mere jeewan ki tune banai hai.
Tu hee meri kismat hai meri khudayee hai.
Duniya jeet leta hu gar tu mere sath rehtee hai.
Khushi ankho se behtee hai jo mujhko bhai kehtee hai.
adhura hu me tujhse door ho k
garmi ki chuttiya, sardi k wo jhoke
sab kuch jo guzra hai, didi wo tera hai.
kabhee bhool na jana, tera bhai akela hai.
Ek pyara sa chehra, jo rehta hai zehen me.
Dikhta hai wo khuda, mujhe apni behen me.
Duniya ki sab khushiya tere daman me la rakhta.
par majbur hu abhee, main kuch bhee de nahee sakta.
Ek marasim jo mujhse khafa ho nahee sakta.
door hu tumse par juda ho nahee sakta.

Hey...

Welcome to the lounge....Click to Refresh

A comfortable way to express

A comfortable way to express
peace to nirvana via smile ... :)